Sardiyon ki dhoop main
jarur koi baat hai.
Guzre lamhon ka is se
Kuch to saath hai.
Dhalti dhoop main, school se aana
maa ki parosi tehri se , matar ke daane hatana
Kabhi moongfaliyon ke daano ko
gud,namak se khana
aur kabhi amrood ke faank par masala lagana.
khushq se hote haathon par
wo maan ka tel lagana
aur sarson ki us badboo se
kabhi maan se ladna aur kabhi lipat jaana.
Mausi ke chat par chatai bichana
urud ke daal main saag
aur ghee ki roti wala khana.
bhai ki masti aur didi ka satana.
sardiyon ki is dhoop main jarur koi baat hai.
baher to dhoop hai magar andar barsaat hai.
No comments:
Post a Comment