Us ghar ko waapis paana chahta hoon
Main us ek kamre main mar jaana chahta hoon.
Kadi doop main, aag ugalte suraj ke tale
Papa ke mehnat thee un deewaron mein
Har rang ke saath, kuch aashayein
Kuch sapne the maan ke
Un sapno, us mehnat ko waapis paana chahta hoo
Main us ek kamre main mar jaana chata hoon
Jiski chat par, sajayee thee jhhalrein maine hare peele kuch bulbon ki
Jis par haat se rakhe the diye maine deewali ke
Jiske saamne udaye the rocket kuch
Aur jiske farsh par chalayee thee khoob chakkarghinniyan
Us diwali ko, un phuljhadiyon ko, waapis paana chahta hoon
Main us ek kamre main mar jaana chahta hoon
Jiski deewaron par phenke the rang gulaabi laal
Jiske aangan main manayee thee holi har saal
Fir thak kar jiske aagosh main sota tha main
Jahan befikr rehta ghoomta tha main
Un holi ke rango se jindagi bharna chahta hoon
Main us ek kamre main mar jaana chahta hoon
Jiski gali main khelta tha main cricket,
Jiski god main thak kar main aata tha
Jo mere har sapne har dukh ka hamsaaya tha
Main us ghar ko waapis paana chahta hoon
Main us ek kamre main mar jaan chahta hoon
Jis ghar main pehchaana tha maine maut ko
Jahan uthaya tha maine kandhon par mere maa, papa ko
Us kamre ko ek baar fir paana chahta hoon
Main usi zameen par sar tika kar, sona chahta hoon
Us kamre main jahan basi hain
Aakhri ssansein mere har keemti ristey ki
Us kamre ke haathon main, apni aakhri saansein lena chahta hoon
Main us ek kamre main mar jaan chahta hoon
1 comment:
awesome sir!
Post a Comment